What Is Pul Siraat - Pul Siraat Kya Hai ?
Bismillah Hirrahama Nirraheem !
Assalawalikum Pyaare Doston Aaj Ke Iss Post Mein Aapko Pul Siraat Ke Baare Mein Choti Si Jaankari Bataye Gaye Hain. Aap Sab Se Guzarish Hai Ke Iss Post Ko Aakhir Tak Laazmi Padhe Iss Se Kuch Seekhe Aur Doosron Ko Bhi Sikhaye.
Pul Siraat Ki Jaankari:-
Jab Sabka Hisaab Kitaab Ho Chukega Toh Sab Apne Agle Padaav Ki Taraf Chal Padenge Yaani Jannat Ya Jahannam Ki Taraf, Uske Liye Sabko Pul Siraat Se Guzarna Hoga Iske Baare Mein Aata Hai Ki, Jahannam Ki Pusht Par Siraat Bichayi Jayegi Jispar Se Har Aadmi Ko Guzarna Hoga Iss Ko Pul Siraat Kehte Hain, Aur Ye Baal Se Zyaada Bareek Aur Talwar Se Zyaada Tezz Hoga, Aur Iski Musafat 15000 Saal Ki Raah Hai 5000 Chadhayi Ke 5000 Dhalaan Ke Aur 5000 Saal Hamwaar Yaani Barabar Hogi Tab Hamare Pyaar Aaka ï·º Sabko Lekar Pul Siraat Se Guzrenge Aur Aap Ye Tasbeeh Padhte Honge "Allahuma Sallim Sallim" Yaani, Ay! Allah Salamat Rakh Salamat Rakh, Par Kaafir Aur Wo Musalman Jo Kabeera Gunah Karke Mare Abhi Unke Liye Raah Me Ek Aur Musibat Khadi Hogi Pul Siraat Ke Dono Taraf Naukili Sansadiyan Nikli Hogi Jisme Log Phanskar Neeche Jahannam Mei Gir Rahe Honge Aur Musalmaano Ki Ek Bahut Badi Jama'at Jahannam Mein Gir Jayegi, Bahut saare Musalman Apne Aamaal Ke Hisaab Se Pul Siraat Se Guzar Jayenge Unme Se Baaz Palak Jhapakte Hi Guzar Jayega Toh Baaz Tez Ghud Sawaar (Burakh Ki Sawari) Ki Tarah Baaz Hawa Ki Tarah To Baaz Parindo Ki Tarah Aur Baaz Un Sansadiyon Se Chhil Chaal Kar Aakhir Nikal Jayenge, Aur Bachne Waale Musalmaan Apne Un Bhaiyon Ke Liye Khuda Ki Bargah Mei Sifaarish Karenge.
(Bahare Shariyat,Hissa 1, Safah 41)
(Madarejun Nubuwat, Jild 1, Safah 492)
What Is Pul Siraat - Pul Siraat Kya Hai ?
Reviewed by Admin
on
April 17, 2020
Rating:
No comments: