What Happens If We Miss Fazr Prayer | Fazr Ki Namaz Qaza Karne Se Kya Hoga?


fajr namaz, fazr prayer, islamic prayer

Fazr Ki Namaz Qaza Karne Se Kya Hoga?

Assalawalikum Wa Rahamatullahi Wa Barakatahu !!

Zyaadatar Logon Se Fajr Ki Namaz Reh Jaati Hai Aur Iss Tarah Afsos Hota Hai, Lekin Kya Karein Insaan Se Kabhi Kabhi  Aisa Hojata Hai, Lekin Pyaare Doston Kya Aap Jaante Hai Fazr Ki Namaz Rehjaane Se Kya Hota Hai. Jab Fazr Ka Waqt Ho... Aur Banda Soya Rahe Aur Namaz Ko Qaza Karein, Sahih Bukhari Ki Ek Riwayat Hai Ki Sarwar E Kaunain Hamare Pyaare Aaqa
Ke Paas Ek Aadmi Ka Zikr Kiya Gaya Aur Bataya Gaya Ki Woh Aadmi Subah Tak Sota Raha Aur Namaz Ke Liye Bi Nahi Utha Yaani Ki Usne Fazr Ki Namaz Nahi Padi Aur Isi Tarah Sota Raha Iske Baare Mei Hamare Pyaare Aaqa Ne Irshaad Farmaya Ki "Shaitaan Ne Uske Kaan Mein Peshaab Kardiya" Aur Aap Ke Farmaan Ek Ek Sach Hai, Iska Matlab Ye Bi Ho Sakta Hai Ki Din Bhar Mei Aadmi Ke Kaamo Mein Allah Ta'Ala Ki Madad Nahi Hoti, Kyunki Uss Insaan Ki Din Ki Iktedaahi Apne Rab Ke Naam Se Nahi Hoti, Toh Phir Uske Din Mein Barkat Kaise Hogi. Toh Isliye Fazr Ki Namaz Ka Ehtemam Karein. Raat Ko Jaldi Sojaye Taaki Fazr Ki Namaz Qaza Na Ho. Allah Ham Sabko Fazr Ki Namaz Waqt Ke Saath Padne Ki Tofiq Ata Farmaye Ameen..



 
What Happens If We Miss Fazr Prayer | Fazr Ki Namaz Qaza Karne Se Kya Hoga? What Happens If We Miss Fazr Prayer | Fazr Ki Namaz Qaza Karne Se Kya Hoga? Reviewed by Admin on April 19, 2020 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.