Benifits Of Miswak | Miswak Ke Faide - Ummat-E-Mohammad

Miswak Shareef Ki Fazilat :-

Bismillah Hirrahama Nirraheem...... Assalamualikum Wa Rahamtullahi Wa Barakatahu
Aaj Ke Iss Post Mein Ham Aapko Miswak Shareef Ke Chand Fazilat Aur Fayde Batayenge, Aap Sab Se Guzaarish Hai Ke Iss Post Ko Bil Aakhir Tak Dekhiye Aur Doosron Tak Pahunchaiye Taake Har Choti Aur Badi Baat Ilm E Deen Ka Hissa Hai.

benifits of miswak, miswak benifits, miswak ki dua, dua for miswak, miswak ki fazilat, miswak ki ehmiyat


Miswak Shareef Ke 10 Fazail - 10 Excellence Of Miswak 
  • Miswak Karke 2 Rakaat Padna Bagair Miswak Ke 70 Rakaat Se Afzal Hai.
  • Miswak Karke Namaz Padna Bagair Miswak Ke 70 Gunah Afzal Hai.
  • 4 Cheezein Har Rasool Ki Sunnat Hain Jisme 1.Itr Lagana 2.Nikah Karna 3.Haya Karna Aur 4.Miswak Karna.
  • Huzoor Shafi-E-Mehshar Irshaad Farmaate Hain "Miswak Karo! Miswak Karo! Mere Paas Peele Daant Lekar Na Aaya Karo.
  • Miswak Mein Maut Ke Siwa Har Marz Se Shifa Hain.
  • Farmaane Rasool Hain Ke Agar Mujhe Apni Ummat Ki Mashaqqat Wa Dushvari Ka Khayal Na Hota Toh Mai Inko Har Wazu Ke Saath Miswak Karne Ka Hukm Deta.
  • Miswak Ka Istemaal Apne Liye Laazim Karlo, Kyunki Isme Mooh Ki Safayi Aur Rab Ta'aala Ki Riza Ka Sabab Hai.
  • Wazu Aada Imaan Hain Aur Miswak Karna Aadha Wazu Hain.
  • Banda Jab Miswak Karke Namaz Ke Liye Khada Hota Hai Jab Farishta Uske Peeche Khade Hokar Qiraat Sunta Hain Aur Phir Uske Qareeb Hota Hain Yaha Tak Ke Apna Mooh Uske Mooh Par Rakh Deta Hain.
  • Jis Shaqs Ne Jumme Ke Din Gusl Kiya Aur Miswak Ki, Khushboo Lagayi Aur Masjid Mei Aaya Aur Sunnat Ke Mutaabiq Khaamoshi Se Namaz-E-Ju'muah Se Faarigh Hone Tak Khaamosh Raha Toh Allah Ta'ala Uske Tam'aam Gunahon Ko Jo Uss Pure Hafte Mei Huye The Muaf Farma Deta Hain. 

Miswak Karne Ki Dua - Dua While Using Miswak

      "Allahumma Tahhir Famee Wa Nawwir Qalbee Wa Tahhir Badanee Wa Harrim Jasadee Alannar"

Tarjuma :- Ay Allah Mere Mooh Ko Saaf Karde Paak Karde Mere Dil Ko Roshan Karde Mere Badan Ko Paak Aur Saaf Sutra Karde Aur Mera Jism Jahannam Ke Upar Haraam Karde


Miswak Kab Kiya Jaata Hain - When Miswak Is Used

  • Sone Se Uthkar Miswak Karna Sunnat Hain.
  • Miswak Sunnat-E-Moaqida Usi Waqt Hain Jab Ki Mooh Mei Badboo Ho.
  • Ghar Mei Daakhil Hokar Sabse Pehle Miswak Karna Sunnat Hain.
  • Khane Se Pehle Miswak Karna Behtar Hain.
  • Har Namaz Ke Pehle Wazu Mein Miswak Karna Behtar Hain.
  • Raat Ko Sone Se Pehle Miswak Karna Behtar Hain.


Miswak ke 20 Fayde - 20 Benefits of Miswak

  • Miswak Shareef Ko Laazim Karlo Kyunki Isme Allah Ta'ala Ki Khushnudi Hain.
  • Hamesha Miswak Karte Rehne Se Rozi Mei Aasani Aur Barkat Rehti Hain.
  • Dard-E-Sar Door Hota Hai.
  • Balgham Ko Door Karta Hain.
  • Nazar Ko Tez Karti Hain.
  • Maide Ko Durust Rakhti Hain.
  • Khuwwate Yadasht Tez Karti Hain.
  • Aqal Ko Badati Hain.
  • Dil Ko Paak Karti Hain.
  • Nekiyo Mein Izaafa Hojata Hain.
  • Farishte Khush Hote Hain.
  • Miswak Shaytaan Ko Naraaz Kardeti Hain.
  • Budhapa Der Aata Hain.
  • Peet Ko Mazboot Karti Hain.
  • Naza (Mout Ke Waqt) Aasani Hoti Hain, Kalma-E-Shahadat Yaad Dilati Hain.
  • Duniya Se Paak Saaf Hokar Ruksat Hota Hain.
  • Qayamat Mein Naamaye Amal Seedhe Haath Mei Dilaati Hain.
  • Miswak Ka Istemal Karne Se Qabr Mei Araam Wa Sukoon Paate Hain.
  • Jism Ko Tuwanayi Bakhsti Hain.
  • Sabse Bad Kar Ye Faida Hai Ki Isme Allah Ta'ala Ki Riza Hain.

Miswak Karne Ka Tariqa - How To Use Miswak

  • Daanton Ki Choudayi (Gap) Mein Miswak Kijiye.
  • Jab Bhi Miswak Karni Ho Toh Kam Az Kam 3 Baar Kijiye, Har Baar Dholijiye.
  • Miswak Seedhe Haath Mei Iss Tarah Lijiye Ki Choti Ungli Uske Neeche Aur Beech Ke 3 Ungliya Upar Aur Anghoota Sar Par Ho.
  • Pehle Seedhi Taraf Ke Upar K Daanton Par Fir Bayein Taraf Ke Upar Ke Daanton Par Fir Seedhi Taraf Neeche Fir Ulti Taraf Neeche Miswak Kijiye.
  •  Miswak Wazu Se Pehle Ki Sunnat Hain, Wazu Ke Andar Ki Sunnat Nahin, Lihaaja Wazu Shuru Karne Se Pehle Miswak Kijiye.
Note: Mutthi Bandh Kar Miswak Karne Se Bawaasir(Piles) Hojane Ka Andesha Hain.


✻✻✻✻✻





Benifits Of Miswak | Miswak Ke Faide - Ummat-E-Mohammad Benifits Of Miswak | Miswak Ke Faide - Ummat-E-Mohammad Reviewed by Admin on April 13, 2020 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.