Namaz-E-Janaza Ka Tariqa In Hindi/Urdu


Mere Dost O Ehbaab Jo Iss Post Ko Dekh Rahe Tamaam Hazraat Ko Assalamu Aliakum Wa Rahamatullahi Wa Barakatahu!! Umeed Hai Ke Khairiyat Se Honge Aap Log. Aaj Hum Iss Post Ke Zariye Aapko Namaz-E-Janaza Ki Fazeelat Aur Namaz-E-Jazana Ka Tariqa Batane Ki Bharpoor Koshish Karenge Jisse Aap Hazraat Ko Hamaari Taraf Se Kuch Na Kuch Malumaat Ho Sakey.



Durood Shareef Ki Fazilat

Rahamatullil Aalameen, Mahboob-E-Rahman, Sarkar-E-Doaalam ï·º Ka Farmaane Barakat Nishaan Hai "Jo Mujh Par Ek Baar Durood Shareef Padta Hai, Uske Liye Allah Ta'ala Ek Kiraat Ajr Likhta Hai Aur Ek Kiraat Uhad Pahad Jitna Hai.

Namaz-E-Janaza Kya Hai ?

Namaz-E-Janaza Farz-E-Kifaaya Hai Yaani Ko Ek Bhi Adaa Karle Toh Sab Bariyuzzimma (Yaani Apni Zimmedari Se Bari (Chutkaara)  Hai) Warna Jis Jisko Ye Khabar Pahunchi thi Aur Woh Shaks Janaaze Mein Naa Aaya Toh Woh Gunahgaar Hoga.

Namaz-E-Janaza Ke Liye Jama'at Shart Nahi, Iss Namaz Ko Ek Shaks Bhi Padle Toh Farz Adaa Hogaya. Iski Farziyat Ka Inkaar Kufr Hai.


Namaz-E-Janaza Ki Iqteda Kab Se Shuru Huyi?

Namaz-E-Janaza Ki Iqteda Hazrate Sayyiduna Adam Alayhissalam Ke Daur Se Shuru Huyi Hai, Farishto'n Ne Sayyiduna Adam Alayhissalam Ke Janaaz-E-Mubaraka Par 4 Taqbeer Padhi Thi, Islam Mein Wuzube Namaz-E-Janaza Ka Hukm Madine Munawwara Mein Naazil Hua. Hazrat-E-Sayyiduna As'ad Bin Juraara (R.A) Ka Wisaal-E-Mubarak Hijrat Ke Baad Navve (9) Mahine Mein Aakhir Mein Huyi Aur Ye Pehle Sahabi Ki Mayyat Thi Jispar Nabi-E-Kareem ï·º Ne Namaz-E-Janaza Padhti  thi.

Reference: Maakhuz Az Fatawa Razaviyya Mukharraja Jild.5, Safa 375,376


Namaz-E-Janaza Kya Hai

Namaz-E-Janaza Farz-E-Kifaaya Hai Aur Isme 2 Rukn Hai Unme Se 1> "4 Baar Allahu Akbar" Kehna, 2> Qhiyaam Jisme Teen (3) Sunnat-E-Moakkada Hai (a) Sana (b) Durood-E-Shareef (c) Mayyat Ke Liye Dua.

Reference: (Durr-E-Muhtar, Rad-Dul Muhtar)

Namaz-E_janaza Ka Tariqa

Ab Muktadi Iss Tarah Niyat Karein "Niyyat ki maine Namaz-E-Janaza Ki Waaste Allah Ta'Ala Ke Dua Iss Mayyat Ke Liye Rukh Mera Kaabe Ki Taraf Peeche Iss Imaam Ke.

Ab Pehle Imaam Wa Muktadi Kaanon Tak Haath Uthaye Aur Allahu Akbar Kahte Huye Foran Hasbe Maamul Naaf Ke Neeche Haath Baandh Le Aur Sana Padhein.

"SUBHANAKALLAHUMMA WA BIHAMDIKA WA TABARAKASMUKA WA TA’ALA JADDUKA WA JALLA SANAUKA WALA ILAHA GHAIRUKA"

Note: Iss Dua Me Wata'Ala Jadduka Ke Baad "Wa Jalla Sanauka Wala Ilaha Gairuka" Padhein Jaise Ke Upar Diya Gaya Hai.

Ab Pehli Martaba Bagair Haath Uthaye Allahu Akbar Kahein Aur Surah-E-Fatiha Padhein, Fir Doosri martaba Baghair Haath Uthaaye Allahu Akbar Kehne Ke Baad Durood_E-Ibrahim Padhein. Fir 3ri Martaba Baghair Haath Uthaaye Allahu Akbar Kahein Aur Namaz-E-Janaza Ki Dua Padhein. Dua Neeche Di Huyi Hai. Aur Dua Ke Baad Allahu Akbar Kahein Aur Haathon Ko Chode. Aisa Karke Kul Milaakar Chaar (4) Taqbeerein Hojayenge. Fir Dono Taraf Salaam Pherde.  Aur Phir Salaam Mein Mayyat Aur Farishte Aur Haazreen Hone Ki Niyyat Karein Yaaniki Salaam Unpar (Jo Hamare Ird Gird Hai) Aisa Tasawwaur Karein, Jaise Har Namaz Ke Salaam Mein Niyyat Karte Hain. Yaha Itni Baat Jyada Hai Ki Mayyat Ki Bhi Niyat Karein.

Reference: (Bahare Shariat Jild 1, Safa 839,835)


Baaligh Mard O Aurat Ke Janaze Ki Dua

Janaze Ka Tareeqa, Janaze Ki Namaz ka Tareeqa, Namaz Ka Tareeqa, Namaz Ka Tarika

"Allahummagfir Lihayyina Wa Mayyitina Wa Shahidina Wa Ghaa’ibina, Wa Sagheerina Wa Kabeerina, Wa Zakarina, Wa Unsaana. Allahumma Man Ahyaitahu Minna Fa Ahyihi Alal Islam, Wa man Tawaffaytahu Minna Fa Tawaffahu Alal Eeman"


Naa Baaligh Ladke Ki Mayyat Ki Dua

Janaze Ka Tareeqa, Janaze Ki Namaz ka Tareeqa, Namaz Ka Tareeqa, Namaz Ka Tarika

Allahumma Jaa’Alhu Lana Farataw’n Waja’Alhu Lana Ajraw’n Wa Zukhraw’n Waja’Alhu Lana Shaafiataw’n Wa Mushaffa’aa

Naa Baaligh Ladki Ki Mayyat Ki Dua

Janaze Ka Tareeqa, Janaze Ki Namaz ka Tareeqa, Namaz Ka Tareeqa, Namaz Ka Tarika

Allahumma Jaa’Alha Lana Farataw’n Waja’Alha Lana Ajraw’n Wa Zukhraw’n Waja’Alha Lana Shaafiataw’n Wa Mushaffa’aa

Aaj ka Mouzu Namaz-E-Janaza Ka Tariqa Aap Hazrath Ko Samajh Me Aagaya Ho Toh Barahe Karam Iss Post Ko Apne Tak Mehdood Na Rakhte Huye Dusro'n Ko Bhi Share Karein Taakey Dusre Hazraat Ko Bhi Iska Tariqa Maloom Ho Aur Deen E Islam Ki Ahem Maslo'n Ki Samajh Ata Ho.

Agar Aapka Koi Sawal Ho Toh Comment Ke Zariye Puch Sakte Ho. Hum Muntazir Rahenge Aap Ke Jawab Ka (In Sha Allah)

Isi Baat Ke Saath Hum Rukhsati Ki Maazurat Chahte Hai. Tab tak Ke Liye Apna Khayal Rakhein Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu!!
Namaz-E-Janaza Ka Tariqa In Hindi/Urdu Namaz-E-Janaza Ka Tariqa In Hindi/Urdu Reviewed by Admin on July 10, 2020 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.