Benifits Of Tahajjud Prayer | Tahajjud Ki Namaz Ke Khaas Faide
Benifits Of Tahajjud Prayer -
Assalawalikum Wa Rahamatullahi Wa Barakatahu !!
Allah Ke Jo Nek Bande Tahajjud Ki Pabandi Karte Hain, Unke Baare Mein Allah Ta'ala Farmate Hain Ki Wo Parezgaar Log Jannaton Mein Jashno Mei Honge Aur Apne Rab Ki Deeyi Huyi Neymaton Lere Honge, Beshak Ye Log Iss Se Pehle Nek The, Raat Ko Bahut Kam Sote The Aur Raat Ke Aakhri Hisse Mei Isteghfaar Kiya Karte The, Raat Ko Kam Sone Ka Matlab Ye Hai Ke Tahajjud Ki Namaz Ke Liye Uth Te The Aur Tahajjud Ki Namaz Adaa Karke Aur Apne Rab Ko Manaya Karte The, Aur Apne Rab Ke Saamne Haath Pehlaya Karte The. Ay! Allah Hamse Raazi Hoja, Hamare Gunah Maaf Karde, Hamari Dua Qubool Karde, Tahajjud Namaz Ki Tofiq Har Bande Ko Nahi Milti Kyunki Ye Khaas Namaz Hai Aur Farz Namazon Ke Baad Sabse Fazilat Iss Namaz Ki Hai. Tahajjud Namaz Ke Baare Mein Sahih Muslim Mei Ek Rivayat Hai, Allah Ke Pyaare Habeeb Sarwar E Kounain ﷺ Ne Irshaad Farmaya "Farz Namaz Ke Baad Sabse Afzal Namaz Tahajjud Ki Namaz Hai. Sab Log So Rahe Hai Lekin Allah Ka Ek Banda, Ek Bandi Uth Te Har Ek Maqsad Lekar Ki "Allah Ta'ala Hamse Raazi Hojaye" Wo Hamin Apni Neymaten Ata Karein, Tahajjud Ke Jariye Khushi Ata Karein Aur Wo Waqt Aisa Hota Hai Ki Koyi Dekh Bi Raha Nahi Hota Hai, Banda Aur Allah Ka Ta'alluq Khayum Hota Hai Aur Jo Banda Ya Bandi Uss Waqt Uth Ta Hai Aur Tahjjud Ki Namaz Padta Hai 2 Rakat, 4 Rakat Ya 8 Rakat Padta Hai Aur Fir Uske Saamne Haath Utha Kar Dua Karta Hai Toh Allah Ta'ala Ki Rehmat Ko Bhi Josh Aata Hai Aur Elaan Hota Hai Ki Ye Mere Mande Maang Mujse Kya Maangna Chahta Hai Mein Tuje Ataa Karun, Mein Tuje Nawazun, Mein Tujse Raazi Hojaau Teri Kya Chahat Hai Farmaya Ki Ay! Logon Salaam Ko Phelao, Logon Ko Khaana Khilaao, Rishton Ko Jodo, Aur Raat Mein Tahajjud Ki Namaz Pado Uss Waqt Ki Jab Log So Rahe Hote Hain Aur Iska Badla Kya Hoga Farmaya Ki "Tum Salamati Se Jannat Mein Daakhil Hojaoge". Apne Rab Ke Liye Uthe, Usey Manaye, Usey Raazi Karein, Hosake Toh Ye Post Aagey Tak Bhi Share Karein.
Benifits Of Tahajjud Prayer | Tahajjud Ki Namaz Ke Khaas Faide
Reviewed by Admin
on
April 19, 2020
Rating:
No comments: